Tuesday, 20 January 2015

Awesome Golden Sayings (Urdu) from Prophet Mohammed PBUHAHP and Hazrat Ali A.S

a

Awesome Golden Sayings from
Prophet Mohammed PBUHAHP and Hazrat Ali A.S
 

Must Read and Forward to all your Friends
1) ab tum kisi ko dost banao to apne dil mein 
aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan 
aur raaz dafna sako 
Prophet Muhammad PBUH ---
2) Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye 
ussey mana lena chahiyeh kyun ke 
tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein 
chun liye jatey hein 
Hazrat Ali (AS) ---
3) Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein 
to dil anjaam say andha ho jata hai 
Hazrat Ali (AS)---
4)khtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin 
balkey be-naqaab ho jatey hein 
Hazrat Ali (AS)---
5)Din ki roshni mein rizq talash karo aur 
Raat ki tareeqi mein usse talash karo 
jo tumhein rizq deta hai 
Hazrat Ali (AS)---
6)Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day, 
Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey 
aur tum usse zaberdasti apna banana chaho, 
ye tumhare nafs ki zillat hai 
Hazrat Ali (AS)---
7)Insaan dukh nahin deta, insaanoun say 
wabasta umeedein dukh deti hein 
Hazrat Ali (AS)---
8)Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao 
warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke 
koi haqeeqat mein tumhara ban jaye 
Hazrat Ali (AS)---
9)Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to 
Uss waqt 5 jumley kehta hai
1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di 
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya 
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha 
ab mein teri hifazat karoun ga 
4. Main haqeer tha tu nay mujhe azeem bana diya 
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun 
Prophet Muhammad PBUH---
10) Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona 
tum par Allah ki inayat hai 
Hazrat Imam Hussain (AS)---
11)Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein 
musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana 
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai 
Hazrat Ali (AS)---
12)Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai 
kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga, 
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga 
Hazrat Ali (AS)---
13)Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho, 
Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho 
Hazrat Ali (AS)---
14)Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai.. 
seep ussey moti bana deta hai, 
saanp ussey zehr bana deta hai.. 
jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq 
Hazrat Ali (AS)---
15)One thing that is better not expressed 
even if it is true, is a man's praise for himself 
Hazrat Ali (AS)---
3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein
1. Salaam karna 
2. Kisi ko jagah dena 
3. Asal naam se pukarna 
Hazrat Ali (AS)---
16)Koshish karo ke tum dunya mein raho 
dunya tum mein na rahey kyun ke 
kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai 
lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai 
Hazrat Ali (AS)---
17)Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao 
jis ne tumhein bolna sikhaya 
Hazrat Ali (AS)---
18)Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai 
ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye 
yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai.. 
tu waisa he hai jaisa mein chahta hun.. 
bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai 
Hazrat Ali (AS)---
5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo
1... mehfil mein zubaan ki 
2. bazaar mein aankh ki 
3. namaz mein dil ki 
4. dastarkhwan mein pait ki 
5. nigah mein haya ki
Hazrat Ali (AS)---
3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein
1. apne aamaal ko zyada samajhna 
2. apne gunhaoun ko bhool jana 
3. apne aapko sab se behtar samajhna 
Hazrat Ali (AS) ---
6 cheezein amal ko zaya karti hein
1. logon ke aaib talash karna 
2. Dil ki sakhti 
3. Dunya ki mohabbat 
4. Haya ki kammi 
5. Lambi umeed. 
6.. Zulm 
Hazrat ALi (AS)---
A friend cannot be considered a friend 
unless he is tested on three occasions
1. At the time of need 
2. Behind your back 
3. After your death 
Hazrat ALi (AS)---
Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do.. 
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega 
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga 
Hazrat ALi (AS)---

No comments:

Post a Comment